Behind this blog, there's a team of devoted writers who write after complete research and fair analysis. Our goal is to make Pakistan a better society and make positive changes in our country. Each and every writer is responsible for his/her own opinions and there's no responsibility of other team members for his/her work. If you wish to write for us please feel free to contact us through "Contact US" page.
Showing posts with label Online Naats. Show all posts
Showing posts with label Online Naats. Show all posts
Wednesday, 17 June 2015
Saturday, 29 March 2014
Balaghal Ula Bikamali With Lyrics
Farhan Ali Qadri Balaghal ula bikamalihe by farhanaliqadri
Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi
Meyn buron say laakh bura sahi magar un say he mayra waasta
Mayri laaj rakhna mayray khuda yay tayray habeeb ki baat he
Karuun tayray naam pay jaan fida na bas eyk jaan do jahaan fida
Do jahan say bhi nahiin ji bhara karun kya karoron jahan nahiin
Tayray zikr ki he yay barkatayn mayray bigray kam sanwar ga-ay
Jahaan tayri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he
Tayri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he
Tayra daykhna mayri eid he tayra rukh kalaam e majeed he
Aaway karma wali fayr o gharii phira meyn madinay gali gali
Fayr saadi wi howay haazri saaday waastay koii dua karay
Ho daruud tujh pay bhi aamina tayray chaand par bhi salam ho
Tayri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he
He yay aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru
Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he
Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi.
Friday, 21 March 2014
Main Lajpalan De Lar Lagiyan- Farhan Ali Qadri With Lyrics
Mein lajpalan day lar lagiyan meray to gham paray rehnday
Meri aasan umidan day sada butay haray rehnday.
Khayal e yaar wich main mast rehnda haan dinay rateein
Meray dil wich sajan wasda meray deeday tharay rehnday.
Dua mangiya karo sangiyo kithay murshid na rus jaway
Jinhaan day peer rus janday oh junday wii marray rehnday.
Kadhi wii lor nahin paindi main noun dar dar tay jawan di
Main lajpalan da mangta haan meray palay bharay rehnday.
Niyazi (Molana Abdul Sitar Niazi) main noun gham kahda? meri nisbat aye lasani
Kisay day rehn jo bankay kasam Rab di kharay renday.
Thursday, 5 September 2013
Bol Balay Meri Sarkaroon Ke
Click To Play , To Download Audio OR Video , Right Click On "Download Logo " And Select "Save Target As "
Naat Title
|
Audio
|
Video
|
Bhar Do Jholi Meri Taajdar e Madina |
N/A
| |
Jaam Ulfat Ka Pila Do Ya Rasool |
N/A
| |
Madiny Ke Zair Salam Un Se Kehna |
N/A
| |
Qasida Burda Sharif |
N/A
| |
Ratain Bhi Madiny Ki Baatain Bhi Madiny Ki |
N/A
| |
Taiba Nu Jaan Waly |
N/A
| |
Teri Chokhat Pe Mangtay Tery Aa Gaye |
N/A
| |
Zarry Jhar Ker Teri |
N/A
|
BEST ONLINE NAATS 2013
Sunday, 1 July 2012
Alif Allah With Urdu Lyrics
Alif Allah Chambe De Booti Murshid Maan Mery Wich Lai Hoo
Nafi Asbaat Da Paani Milya Har Ragey Har Jai Hooooo
Andar Booti Mushk Machaya Jaan Phoolar Tey Aai Hooooo
Jewy Murshid Kamil Bahoo Jey Booti Lai Hooooo
Aey Tan Mera Chashma Howy Mey Murshid Wekh Na Raja Hooooo
Loo Loo Dey Mood Lakh Lakh Chashma Eik Khola Eik Kaja Hoooo
Itna Dethya Menoo Sabar Na Awey Mey Hor Kidy Wal Pajan Hoooo
Murshid Da Deedar Bahoo Menoo Lakh Karoran Hajan Hooooo
Bey Bismilla Isam Allah Da Aey We Kehran Bhara Hoooo
Naal Shafahat Sarware Alam Chuot See Alam Sara Hooooo
Hado Behad Darood Nabi Noo Jinda Ead Pasaran Hooo
Mey Qurban Tena TO Bahoo Jina Milya Nabi Suhara Hooo
Baghdad Shehar Dee Ki Hey Nishani Uchiya Lambiayn Cheira Hooo
Tan Man Mera Porzy Porzy Jewy Darzee Diyan Leraan Hoooooo
Aena Leraan Dee Gal kafni Paa Key Ralsan sang Faqeeran Hooooo
Baghdad Shehar Dey Tokry mangSaan Bahoo Kar Saa Meran Meran Hoo
Saturday, 23 June 2012
Mujhe Bhi Madine Bula Mere Moula With Urdu Lyrics
Mujhe bhi MADINAY bulaa mayray mowla
Hamay bhi MADINAY bula mayray mowla
Karam kee thajalee dikhaa mayray mowla
Sab pareay
Hamay bhi MADINAY bula mayray mowla
Karam kee thajalee dikhaa mayray mowla
Mujhe bhi MADINAY bulaa mayray mowla
Karam kee thajalee dikhaa mayray mowla
Bohoth bay kararee kay alam main hoo main
Mayree bay kararee mitaa mayray mowla
Hamay bhi MADINAY bula mayray mowla
Karam kee thajalee dikhaa mayray mowla
Nigahow say pinhaa jo manzil mayree hain
Kyoun majdhar may naow mayree pasee hain
Hatha oo kaa maraa bhi palay gaa sahil
gar abid kay dil may samaa mayray mowla
Hamay bhi MADINAY bula mayray mowla
Karam kee thajalee dikhaa mayray mowla
Mujey bi Madiney bula merey Mowla
Karam ki thajali dikha merey Mowla
Bohoth bekarari key alaam mey hu mey
Meri bekarari mita merey Mowla
Sunaah hai Madina karam hi karam hai
Thu rakhtha jahan mey sabhi ka bharam hai
Thujey vasthaa therey pyarey Nabi ka
Meri bhigari aab thow bana merey Mowla
Jisey thuney chaha mey uspey fidha hu
Mey Therey Muhammad key Dhar ka ghada hu
Thujey vaastha syeda Fatimah ka
Mujey har balah sey bacha merey Mowla
'Mere Aqa Aao Ke Muddat Hui Hai' With Urdu Lyrics
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai, Teri Rah May Akhiya Bichate
Teri Hasrato May Teri Chahato May, Bade Din Hue Ghar Sajate Sajate.
Mera Ye Hai Iman Mera Ye Yaqeen Hai, Mere Mustafa Sa Na Ko Haseen(N)
Rukh Unka Jab Se Qamar Ne, Nikalta Hai Mooh Chupate Chupate.
Qayamat Ka Manzar Bada Purkhatar, Magar Mustafa Ko Diwana Hoga
Woh Pool Se Guzar Jayega Wajda Karte, Naara Nabi Ka Lagate Lagate.
Mere Lab Pe Maula Na Koi Sada Hai, Faqat Muj Nikamme Ki Yehi Dua Hai
Mere Sans Nikle Dar-e-Mustafa Pe, Game-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate.
Ye Maana Ke Ek Din Qaza Hai, Magar Dosto Tumse Ye Iltija Hai
Sehre-e-Muhammad Har Ek Gali Se Janaza Oothana Ghumate Ghumate.
Maula Ya Salli Wa Sallim Lyrics With English Translation
Mawlaya Salli Wassalim da-Iman Abadan
Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi
O my Lord send peace and blessings upon your Beloved (PBUH)
The best of all creations.
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.
Da-aa illallahi fal-mustamsikuna bihi
Mustamsykuna bihablin ghairi munfasam.
He called (people) towards Allah, so those who cling to him.
Clinging to a rope which will never snap.
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.
Muhammadun Sayyidul Kawnayni Wa-Thaqalain
Wal-Fareeqaini Min Urbin Wa Min-Ajami.
Muhammad ( Sallallahu Alayhi Wasallam) is the leader of both worlds and both creations (man and jinn).
And of both groups, Arabs and non Arabs.
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.
Thummar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
Wa An Aliyyiw Wa An Usmana Zil Karami
(Then) be pleased with Abu-bakr and Omar (Radiyallahu Anhuma).
And Ali and Uthman (Radiyallahu Anhuma), the people of nobility.
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.
Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna
Wag Fir Lana Ma Madaya Wase Al Karami
O my creator, O Allah. Fulfill our aims in life Allah
Forgive our sins, Ya Allah. O Allah the most gracious.
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.
Mawlaya Salli Wassalim da-Iman Abadan
Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi
O my Lord send peace and blessings upon your Beloved (PBUH)
The best of all creations.
Muhammad Ka Roza With Urdu Lyrics
bulandi pe apna naseeb araha hai
farishton ye de do peghaam un ko
Khabar ja ke de do unko farishton
ke khadim tumhara Saeed aa raha hai
Madina Madina Madina Madina bara lutf deta hai naam-e- Madina
Wafa tum na dekho gee hargiz kisi mein
zamana wo aisa qareeb araha hai
hifazat karo apney imaan o deen ki
zamana woh aisa ajeeb araha hai
Muhammad ka roza qareeb aa raha hai
bulandi pe apna nasseeb aa raha hai
farishton ye de do peghaam un ko
khabar ja ke de do unko farishton
ke khadim tumhara Saeed aa raha hai
Madina Madina Madina Madina bara luft deta hai naam-e-Madina
Tumhain kuch khabar hai kahan ja rahe ho
Rasool-e-Khuda hain waha ja raha hoon
Tumhain kuch khabar hai main kya pa raha hun
mohabbat ka unki maza pa raha hoon
chalo ja kay rehna Madina main ab toh
qiyamat ka manzar qareeb aa raha hai
frishton ye de do pegham un ko
khabar ja ke de do unko farishton
ke khadim tumhara Saeed aa raha hai
Madina Madina Madina Madina bara luft deta hai naam-e-Madina
Nigahon main sultaniyat heech hogi
jo paye ga dil main payam-e-Madina
sukoon-e-jahan tum kahan dhonnte ho
sukoon-e-jahan hai nizam-e-Madina
Madina Madina Madina Madina bara lutf deta hai naam-e-Madina
Muhammad ka roza qareeb aa
raha hai bulandi pe apna naseeb aa
raha hai (2 times)
farishton ye de do peghaam un ko
khabar ja ke de do unko farishton ke
khadim tumhara Saeed aa raha hai
Madina Madina Madina Madina
bara luft deta hai naam-e- Madina
Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon with Urdu Lyrics
Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.
Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.
Lyrics & Video Information:
Artist: Junaid Jamshed
Video Title: Multazim Par
Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
Saturday, 9 June 2012
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahi Hai with Lyrics
Bashkle rang-o-gul aur haqeeqat mein khar hai duniya
Aik pal mein idher se hai udher char din ki bahar hai duniya
Zindagi naam rakh deya kisne
Maut ka intezar hai duniya
Verse 1:
Anokhi waza hai sare zamane se nirale hain,
Yeh aashiq kaunsi basti ke Ya Rab (SWT) Rehne Wale Hain.
انوکھی وضع سارے زمانے سے نرالے ہیں
یہ عاشق کونسی بستی کے یا رب، رہنے والے ہیں
Strange is the nutrition, (they are) apart from the whole world
These lovers, O Lord, to which town do they belong…
Verse 2:
Jahan mein hain ibrat kay har so namunay,
Maghar tujh ko undha kiya rang-o-buu nay,
Kabhi ghor say bhi yeh dekha hai tunay?
Jo aabad thay woh mahal abb hain sunay.
جہاں میں ہیں عبرت کے ہر سُو نمونے
مگر تجھ کو اندھا کیا رنگ و بُو نے
کبھی غور سے بھی دیکھا ہے تو نے
جو معمور تھے وہ محل اب ہیں سُونے
Many examples are there of taking heed in the world
But the sight and sound has made you blind..
Have you ever pondered on this aspect?
The castles which were once liven in are now deserted
Verse 3:
Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai,
Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai.
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of heartly affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…
Verse 4:
Mile khaak main ahl-e-shaan kaise kaise,
Makeen ho gaye la makaan kesay kesay,
Hue name-war pe nishaan kaise kaise,
Zamin khagayi nojwaan kaisay kaisay.
ملے خاک میں اہلِ شاں کیسے کیسے
مکیں ہو گٔیٔے لا مکاں کیسے کیسے
ھؤے ناموَر بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گٔیٔ نوجواں کیسے کیسے
Many people of status have now mixed with earth
Many with homes are now homeless
Many people of big name have become nameless
Many types of people have been engulfed by earth
Verse 5:
Ajal nay na kisra hi choda na dara,
Issi say Sikander safate behara(pe hara),
Har ek leke kya kya na hasrat sidhara,
Pada rehgaya sab yunhi thaat sara.
اجل نے نہ کسریٰ ہی چھوڑا نہ دارا
اسی پہ سکندر فاتح بھی ہارا
ہر ایک چھوڑ کے کیا حسرت سدھارا
پڑا رہ گیا سب یہیں کھاٹ سارا
Time did not leave Kisraa to be!
To this same “time” Alexander got defeated
Every one left behind their wishes and left
All that will be left here (in this world)
Verse 6:
Tujhay pehlay bachpan mein barsoon khilaya,
Jawani nay phir tujhko majnu banaya,
Burhapay nay phir aakay kia kia sitaya,
Ajal tera kerday gi bilkul sifaya.
تجھے پہلے بچپن میں برسوں کھلایا
جوانی میں پھر تجھ کو مجنوں بنایا
بڑھاپے نے پھر آ کے کیا کیا ستایا
اجل تیرا کر دے گی بالکل صفایا
First it made you play in the childhood
In the youth it made you a lover
Old age then troubled you so much
“Time” will clear you completely
Verse 7:
Yehi tujhko dhun hai rahoon sab say bala,
Ho zeenat nirali ho fashion nirala,
Jiya karta hai kia yoonhi mernay wala?
Tujay husnay zahir nay dhokay main dala.
یہی تجھ کو دھُن ہے رہُوں سب سے بالا
ہو زینت نرالی ہو فیشن نرالا
جیا کرتا ہے کیا یونہی مرنے والا؟
تجھے حسنِ ظاہر نے دھوکے میں ڈالا
You are over concerned that you stay above all
That you have definitive beauty and a definitive fashion
Is this the way anyone lives who (knows) he will die?
You got deceived with the apparent beauty
Verse 8:
Woh hau aish-o-eishrat ka koi mahal bhi?
Jahan taak mein har ghari ho ajal bhi,
Bus ab apnay is jehal say tu nikal bhi,
Yeh tarzay maeshat ab apna badal bhi.
وُہ ہے عیش و عشرت کا کؤی محل بھی؟
جہاں ساتھ میں کھڑی ہو اجل بھی
بس اب اس جہالت سے تُو نکل بھی
یہ طرزِ معیشت اب اپنا بدل بھی
Is that castle of lofty life even a castle
When there is “Time” standing next to it
Enough now! Come out of this ignorance
And change this way of earning of yours
Verse 9:
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujhko,
Hui wah kya cheez marghub tujhkom,
Nahin aqal itni bhi majzoob tujhko,
Samajh lena ab chahiye khoob tujhko.
یہ دنیأے فانی ہے محبوب تجھ کو
ہؤی واہ کیا چیز مرغوب تجھ کو
نہی عقل اتنی بھی مجزوب تجھ کو
سمجھ لینا چاہیے اب خوب تجھ کو
This finite world is beloved to you
Its amazing what (thing) has become your (means of) pleasure
Do you, O drowned one (in its endeavors) not have intelligence?
You should have understood it by now!
Verse 10:
Burr`hapay say paa kar payam-e-qaza bhi,
Na chaunka na cheeta na samnbhla zara bhi,
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhi,
Junoon chor kar apnay hoshon main aa bhi.
بڑھاپے میں پا کے پیامِ قضا بھی
نہ چونکا نہ چیتا نہ سمبھلا ذرا بھی
کؤی تیری غفلت کی ہے انتہا بھی؟
جنون چھوڑ کر اپنے ہوش آ بھی
In the old age, even after realizing your destiny
You didn’t jolted, neither corrected your ways
Is there a limit to your ignorance..?
Leave this obsession and become aware!
Verse 11:
Jab is bazm say chal diye dost aksar,
Aur uthtay chalay ja rahay hain baraabar,
Har waqt paish-e-nazar hai yeh manzar,
Yahan par tera dil behelta hai kionkar.
جب اِس بزم سے دوست چل دیے اکثر
اور اُٹھے چلے جا رہے ہیں برابر
ہر وقت پیشِ نظر ہے یہ منظر
یہاں پر تِرا دل بہلتا ہے کیونکر
When all the friends have departed from this world
And continuously they are leaving still,
The view is in front of you as always..
Then (knowing all that) why does your heart is satisfied with it?
Verse 12:
Jahan main kahin shor-e-maatam bapa hai,
Kahin fikr-o-faqah say aah-o-baqa hai,
Kahin shikwa`jor-o-makr-o-dawa hai,
Gharz har taraf say yehi bas sada hai.
جہاں میں کہیں شورِ ماتم بپا ہے
کہیں فِکر و فاقہ سے آہ و بکا ہے
کہیں شکوہ جور و مکر و دغا ہے
ہر ہر طرف سے بس یہی صدا ہے
There are screams and cries all around the world
Some cry out of destituteness and some of hunger
Some complain of deceipt and fraud
From all corners, thus is all the calling…
Verse 13:
Jaga Ji Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai,
Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai.
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of heartly affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…
Subscribe to:
Posts (Atom)
Pakistani Awam Ki Mushkilat
Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...
-
Maula Ya Salle Wasallim Junaid Jamshed by f100001310478741 Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan ...
-
KHAWAB KI HAQEEQAT AKHHAM-E-ELAHI KI ROSHNI MEIN Ilm-o-Tabeer ki fazeelat yeh hai ke KHUDA WAND TALAH ne isse khas inaam s...