Tuesday, 11 February 2014

KHAWAB KI HAQEEQAT QURAN-O-HADEES KI ROSHNI MEIN


       KHAWAB KI HAQEEQAT AKHHAM-E-ELAHI KI ROSHNI MEIN

Ilm-o-Tabeer ki fazeelat yeh hai ke KHUDA WAND TALAH ne isse khas inaam se tabeer farmaya hai aur jis ilm ko BARI TALAH ne apna fazal-o-karam farmaya hai , woh ilm kitna afzal-o-mubarak hoga IRSHAD0E0ILAHI ki aik misaal yeh hai ke SURAH YOUSAF (A.S) mein irshad farmaya ke "ISSE TARHAN HUM NE YOUSAF(A.S) KO ISS MULK (EGYPT) MEIN SALTANAT AATA FARMAYE AUR ISSKO ILM-O-TABEER SIKHAYA"

HAZRAT MOHAMMAD (S.AW.W) ne wakeya mehraj shareef ke baad aik khawab dekha aur iss khawab ka ALLAH TALAH  ne QURAN MAJEED mein iss tarhan zikr kiya hai
"KE ALLAH TALAH NE APNE RASOOL (S.A.W.W) KE KHAWAB KO SACH KER DEKHAYA"
Iss IRSHAD-E-BARI TALAH se yeh zahir hota hai ke khawab aik nehmat hai jiss ke zareye ALLAH TALAH ke ahkamat bandoon per zahir hote hain yeh ilm aesa afzal-o-ashraf hai k KHUA TALAH ke naik banday na sirf iss per yaheen aur imaan rakhte hain balke woh maabood barhaq ke har hukaam per Ser-tasleem kham kerte hain kuwaah woh Ahkaam Alim baradri mein hoon ya Alim khawab mein jaisa HAZRAT IBRAHIM (A.S) ko khawab mein yeh basharat hoyi ke woh apne betay ko Zibah ker rahe hain aur in baap betoon ne iss Hukam-e-ILAHI ki Tameel ker dali. Iss ke mutalik QURAN MAJEED mein ALLAH TALAH ne iss teran irshad farmaya hai ke
"AEH IBRAHIM (A.S) BESHAK TUNE APNE KHAWAB KO SACH KER DEKHAYA HAI AUR HUM APNE NAIK BANDOON KO ISS TERAN AJAR DEYA KERTE HAIN"
In ahkamat-e-ILAHI aur QURAN MAJEED  ki inn misaloon se khawab ki fazeelay aur sadaqat ka na zabardast saboot milta hai jin se zahir hota hai ke khawab  sirf weham-o-khiyalat per hi mabni nahi hote balke Israr-o Ahkam ILAHI per kaar band rehte hain Iss teran Alim-e-Khawab mein bhi, jab in per Ahkam-e-ILAHI ka inkasahaf hota hai toh woh puray imaan se in per Karband hote hain,Jaise HAZRAT IBRAHIM (A.S) Alm-e-Khwab mein hi Ahkam-e-ILAHI se Matlah hoker apne aziz farzand ki qurbani ke liye bakhushi tayar hogaye the.




KHAWAB KE BARAY MEIN HAZRAT MOHAMMAD (S.A.W.W) KE IRSHADAAT

"HAZRAT MOHAMMAD (S.A.W.W) NE FARMAYA, AASARE NABOWAT MEIN SE ABH KOI CHEEZ BAKI BAKI NAHI RAHI LAKIN MUBSHARAT YANI MERE BAAD NABOOWAT KHETAM HOJAYE GHI AUR AINDA ZAHOOR MEIN AANE WALE WAKEYAT KO MALOOM KERNE KA TAREKA MUBSHARAT KE SIWA AUR KOI NA HOGA"

Sahaba Ikram ne Poocha, YA RASSOL (S.A.W.W) Mubsharat kiya hain?
"APP (S.A.W.W) NE IRSHAD FAMAYA: ACHE YA SACHE KHAWAB"

·                     SACHA KHAWAB AIK KISAM KI WAHI HAI TAKE KHWAB DEKHNE WALA KHUDA KE HUKAM SE GHAFIIL NA HO
·                     JAB TAK KHWAB BAYAN NA KIYA JAYE WOH PARINDAY KE PAYOON PER HOTA HAI JAB ISSE BAYAN KER DEYA JAYE TOH WOH WAKEYA HOJATA HAI
·                     SABSE BADA BOHTAAN YEH HAI KE ADMI APNI ANKHON KO WOH CHEEZ DEKHAYE JOH ANKHON NE NAHI DEKHI , YANI ANKHON KO BOHTAAN BANDAY AUR JHOOTA KHAWAB BAYAN KARE
·                     JAB KHAWAB MEIN SHETAAN KISI KE SAATH KHELAY TOH CHAHIYE KE WOH ISS KHAWAB KO DOSROON KE SAMNE BAYAN NA KERTE PHIRAY
·                     ZAYADA SACHA KHAWAB SUBAH KE WAQT KA HAI

·                     ACHA KHWAB KHUDA KI TARAF SE HAI CHUNACHAY JOH SHAKHS KOI ACHA DEKHE TOH SIRF USSI SE BAYAN KARAY JISSE WOH MOHABBAT KERTA HAI HAR ADMI SE KHAWAB BAYAN NA KERTA PHIRAY AUR JOH SHAKS BURA DEKHE WOH KISI KO NA SUNAYE. ISSI LIYE KE ISS TERAN WOH KHWAB ISSE NUKSAAN NA POHANCHAYE GHA

Pakistani Awam Ki Mushkilat

 Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...