Ramadan ke rozay toh bohat se loog
rakhte hain magar sawal yeh hai kiya woh sahi tareke se roza b rakhte hain ya
nahi?Hum sab ko yeh toh pata hai ke rozay mein Subah Fajr se leker Magrib tak
kha pi nahi sakte hain lakin hum aksar rozay ki asal haqeeqat aur asal maqsad
ko nahi samjhte aur na hi koi janna chata hai. Hum Musalmanoon ko magraby
cheezon ke baray mein janne ka toh bohat shouk hai lakin woh shouk Deen-e-Islam
ke liye nahi nazar aata. ALLAH Talah ne rozay har musalman per farz keye hain
ta ke insan ramadan ke aik mahinay mein appnay app ko aesa ALLAH KI BATAYE
HOWEIN BATAIN MANNE WALA bana ley ke agle 11 mahiney bhi waisa hi rahay lakin
ajjkal kiya hota hai ke pehle 5 rozay aur akhri 5 rozay toh khoob josh se
ibadat ki jati hai magar baki dinoon mein sirf bhookay rehne ko roza samaj leya
jata hai.Ager hum ramadan mein dekhein toh Dukandar pehle se zayada keemtain
wasool kerte nazar aate hain aur appne dukhandari ke liye zayada jhoot bolte
hain aue aksar rozay ka sahara lete hain jaise" baji main jhoot nahi bol
raha main rozay mein hoon" magar bhala inko kaun samjhaye ke ALLAH ne
rozay jhoot bolne ke liye nahi farz kiye howe hain. Dar haqeeqat ramadan ke
rozoon ka asal maqsad hain:
1- Bhook rehna matlab Fajr se leker Magrib tak kuch
na kahna aur peena
2- Rozay ki halat mein sexual intercourse na kerna
3- Har woh
kaam kerna jiski wajah se woh ALLAH ke qareeb hoo matlab har woh kaam kerna
jisko kerne ka ALLAH ne hukam deya hai aur har woh kaam na kerna jisko na kerne
ka ALLAH ne hukam deya hai
4- Apne nafs per control kerna
5-Sadka aur kherat dena
Fitrana aur Zakat ki shakal mein
Yeh Sab kuch ramadan ke important maqsad hain jinko
humhe zaroor follow kerna chahiye takay humhare rozay ALLAH TALAH kabool karein
aur humhare liye Jannat mein janay ki wajah ban sakhein