Friday, 19 June 2015

رمضان کیسا ہونا چاہیے

Ramadan ke rozay toh bohat se loog rakhte hain magar sawal yeh hai kiya woh sahi tareke se roza b rakhte hain ya nahi?Hum sab ko yeh toh pata hai ke rozay mein Subah Fajr se leker Magrib tak kha pi nahi sakte hain lakin hum aksar rozay ki asal haqeeqat aur asal maqsad ko nahi samjhte aur na hi koi janna chata hai. Hum Musalmanoon ko magraby cheezon ke baray mein janne ka toh bohat shouk hai lakin woh shouk Deen-e-Islam ke liye nahi nazar aata. ALLAH Talah ne rozay har musalman per farz keye hain ta ke insan ramadan ke aik mahinay mein appnay app ko aesa ALLAH KI BATAYE HOWEIN BATAIN MANNE WALA bana ley ke agle 11 mahiney bhi waisa hi rahay lakin ajjkal kiya hota hai ke pehle 5 rozay aur akhri 5 rozay toh khoob josh se ibadat ki jati hai magar baki dinoon mein sirf bhookay rehne ko roza samaj leya jata hai.Ager hum ramadan mein dekhein toh Dukandar pehle se zayada keemtain wasool kerte nazar aate hain aur appne dukhandari ke liye zayada jhoot bolte hain aue aksar rozay ka sahara lete hain jaise" baji main jhoot nahi bol raha main rozay mein hoon" magar bhala inko kaun samjhaye ke ALLAH ne rozay jhoot bolne ke liye nahi farz kiye howe hain. Dar haqeeqat ramadan ke rozoon ka asal maqsad hain:
1- Bhook rehna matlab Fajr se leker Magrib tak kuch na kahna aur peena
2- Rozay ki halat mein sexual intercourse na kerna
3- Har woh kaam kerna jiski wajah se woh ALLAH ke qareeb hoo matlab har woh kaam kerna jisko kerne ka ALLAH ne hukam deya hai aur har woh kaam na kerna jisko na kerne ka ALLAH ne hukam deya hai
4- Apne nafs per control kerna
5-Sadka aur kherat dena Fitrana aur Zakat ki shakal mein
Yeh Sab kuch ramadan ke important maqsad hain jinko humhe zaroor follow kerna chahiye takay humhare rozay ALLAH TALAH kabool karein aur humhare liye Jannat mein janay ki wajah ban sakhein

No comments:

Pakistani Awam Ki Mushkilat

 Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...