Wednesday 18 April 2012

Jab baap ki izzat kho jaye


Jab baap ki izzat kho jaye 
Jab qoum ki ghairat so jaye 
Jab bhai club ko jate hon 
Aur behnon ka haq khate hon 
Jab maan ki nazren jhuk jayen 
Alfaz labon tak ruk jayen 
Jab ghar ghar me surtal chale 
Aor ourat nange baal chale 
Jab rishwat sar charh k bole 
Or tajir jan k kam tole 
Phir jab yeh sub kch hota he 
Rab ghafil he na sota he 
Jab uska qeher barasta he 
Qaroon zamin me dhansta he 
Phir jab wo pakar pe ata he 
Firon bhi ghotey khata he 
Qoum e aad bhi zero zabr hui 
Quran me iski khabar hui 
Yeh sub ibrat ko hen kafi 
Aj mang lo allah se maafi 
Aj mang lo allah se maafi 
Beshak allah bakhshane wala meherban he

ALLAH-HUMA-SALLE-ALLAH MUHAMMAD


Shadi Shuda Zindagi Kamyaab kaise?


"WAQT KI AHMIYAT (وقت کی اہمیت )"


Qissa Hazrat Yousaf As By Maulana Tariq Jameel 2012



A short biographey of Prophet Muhammed SAW


Tuesday 17 April 2012

MAA OR BAAP



"MAA THANDI CHAON HAI TU BAAP GHANA DARAKHT"
"MAA K PAIROON TAKE JANNAT HAI TO BAAP K PEHLOO ME JANNAT"
"MAA K BEGAIR GHAR SOONA HAY TO BAAP KE BEGAIR ZINDAGI VIRAAN"
"MAA MOHABBAT KA DARYA HAI TO BAAP SHAFQAT KA SAMUNDAR"
"MAA AULAD KI RAFIQ HAI TO BAAP AULAD K LIYE SHAFIQ"
"MAA TPHFA E KHUDA WANDI HAI TO BAAP REHMAT E KHUDA WANDI"
"MAA MERA FAKHAR HAI OR BAAP MERA GHAROOR"
"MAA MERI MANZIL HAI OR BAAP MERA RASTA"

Pakistani Awam Ki Mushkilat

 Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...