Al-Quran:
Jo Log Apna Maal Allah Ta’la Ki Raah Main Kharch Kertey Hain
Phir Iskey Ba’ad Na To Ahsaan Jatatey Hain Na Aea Detey Hain
Inka Ajer Inkey Rab Ke Paas Hai Inper Na To Kuch Khauf Hai
Na Woh Udaas Hongey Naram Baat Kehna Aur Ma’af Ker Denba Is sadgey Se
Behtar Hai Jis Ke Ba’ad Aeza Rasaani Ho Aur Allah Ta’la Be-Niyaz Aur Burd-Baar Hai
Ae Iman Walo! Apni Khairat Ko Ahsaan Jata Ker Aur Aeza Pohancha Ker
Berbaad Na Karo! Jis Terha Woh Shaks JoApna Maal Logon Ko Dikhwey Ke Lye Kharch Karey Aur Na
Allah Per Iman Eakhey
Na Qayamat Per
(Surah Al-Baqara Ayat 162:164)
Raasto Per Baithney Se Perhaiz Karo
Abu Saeed Khudri Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai
K Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya:
Raasto Per Baithney Se Perhaiz Karo
Sahaba Ne Arz Kia:
Hamari Majliso Ke Bagair
Hamara Guzara Nahi
Kyun K Hum In Main Bahmi Baat Cheet Kertey Hain
Aap Ne Fermaya:
Jab Tum Nahi Maantey To Raastey Ka Huq Adaa Karo
Poocha Iska Huq Kia Hai?
Fermaya:
Nigah Neechi Rakhna
Taklif Na Dena
Salaam Ka Jawab Dena
Neki Ka Hukm Dena
Aur Burae Se Rokna
(Sahih Muslim)
Jahliat Ke 4 Kam Aise Hain
Abu Maalik Raziallah Anhu Se Rivayat Hai
K Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Fermaya:
Jahliat Ke 4 Kam Aise Hain
Jinhain Meri Ummat K Log Turk Nahi Karainge
1-Hasb-O-Nasb Aur Khaandani Shrf-O-Fazilat Per Fakher Kerna
2-Doosron Ke Nasb Aur Khaandan Main Nuqs Aur Aib Nikaalna Aur Ta’na Zani Kerna
3-Sitaaron Ke Asar Se Baarish Barusne Ka Aqeedah Rakhna
4-Noha Kerna
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya Ke:
Noha Kerne Wali Aurat Agar Merne Se Pehle Pehle
Tauba Na Karey To Qayamat Ke Din Isey “Ghandak”
Ki Shalwaar Aur “Khaarish”
Ki Qameez Pehna Ker Uthaya Jai Ga
(Sahih Muslim , Masand Ahmed)
Aesi Batain Mat Poocho.
No comments:
Post a Comment