Saturday, 10 March 2012

Imam Ghazali



Jungle mein 1 shakhs k peche shair lag jata ha... vo apni jan bachane k liye kunvein mein chalang laga deta ha or 1 rassi se latak jata ha, jb neche dekhta ha to boht barra azdaha betha hota ha... Itne mein 2 chuhey sufaid or kaley rang k, kunwein ki rassi ko kutarne lag jate hein... Achanak kunvein mein osko shehd ka chhatta nzr ata ha, vo shehd ko ungli se zuban mein lagata ha... Shehd ki mithas se osko upar mojod shair, neche betha azdha or rassi ko cut krte howe chuhe bhol jate hein, vo bhol jata ha k akhir ousne girna neche he ha

Imam Ghazali likhte hein k, eis sheir mein mot ha jo her waqat tmhare k peche ha,,, azdha qabar ha jis mein her hal mein tum ne jana ha.... 2 chuhey din or raat hein jo tmhari zindagi ki rassi ko dhere dhere kaat rahe hein... Or shehd tmhari dunia ha jisko thora sa chakho to tumhein Mot, Qabar, Waqt, Akhirat sb bhol jata ha

No comments:

Pakistani Awam Ki Mushkilat

 Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...