Thursday 30 June 2011


اللہ کے نزدیک محبوب اعمال


’’حضرت ابن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال کیا کہ اللہ تعالیٰ کو کون سا عمل زیادہ محبوب ہے۔ آپ نے فرمایا: وقت پر نماز پڑھنا۔ میں نے پوچھا پھر کون سا۔ فرمایا: ماں باپ کے ساتھ نیک سلوک کرنا۔ میں نے پوچھا پھر کون سا۔ فرمایا: اللہ کے راستے میں جہاد کرنا۔ عبد اللہ بن مسعود کہتے ہیں کہ یہ باتیں مجھے رسول اللہ نے بتائیں۔ اگر میں مزید پوچھتا رہتا تو آپ بھی مزید بتاتے جاتے۔‘‘، (مشکوٰۃ، رقم:568

The Prophet Muhammad (Peace Be Upon Him)) said: 
“Whoever is offered an apology from a fellow Muslim should accept it unless he knows that the person apologizing is being dishonest.”


Mishkat al Tabrizi, Vol 3, Hadith no. 5052.

Hazrat JIBRAIL Ne HUZOOR PAK S.A.W Se Kaha.




Ap K Bad Men 10 Bar Aaonga
Or 10 Chezen DUNYA Se Le Jaonga


1- NAMAZ Ka KHUSHO KHUZO
2- SABR
3- SHARAM
4- MUHABAT
5- BARKAT
6- INSAAF
7- SAKHAWAT
8- HALAAL
9- ILIM
10- QURA’AN K HUROOF
OR
Phir Kisi Bhi Lamhy QAYAMAT Barpa Hogi
Fajr Ki Azan Fajr Ke Tulu Hotey Hi
Abu Huraira Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai K Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya 
Jab Koi Aadmi Azan Suney Aur Khaney Ka Bertan Iskey Haat Main Ho,
To Isey Foran Na Rakhdey Bulkey Apni Zaroorat Poori Kerley (Abu Dawood, Ibn Maja)
Chunkey Fajr Ki Azan Fajr Ke Tulu Hotey Hi Kehdi Jati Hai Isliye Azan Ke Waqt Khaney Ki Gunjaish Hoti Hai 
Albutta Jab Fajr Achi Terha Wazih Ho Jae To Khana Peena Jaez Nahi (Walla-O-Alam)
Allah Wohi Kerta Hai Jo Chahta Hai.

Huzoor (S.A.W.W) K Pasandida Khaney.






Kadu
Sirka
Zaitoon Ka Tail
Khajoor
Hareera
Shehad
Loki
Gosht
Kharboza
Injeer
Namak


Maangne Wala Khoob Tawajah Ke Saath.


Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya.




Imran Bin Haseen Raziallah Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya: Meri Ummat Main Pathron Ki Baarish , Soortain , Bigerna
Aur Zameen Main Dhasney Ke Wa’qiat Pesh Aaengey Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Poocha Gaya:


Ya Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam!


Aisa Kab Hoga?


Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Fermaya:


Jab Baajon Aur Gaaney Waali Aurton Ka Aam
Riwaaj Ho Jaega Aur Kasrat Se Sharaab Pee Jae Gi.


(Termizi)



Al-Quran:






Aesi Batain Mat Poocho Ke Ager Tumper Zaahir Kerdi Jaen
To Tumhain Nagawar Hon Aur Ager Tum Zamana Nuzool-e-Quran
Main In Baato Ko Poochoge To Tumper Zaahir Kerdi Jaengi
(Al-Maedah,V#101)


Ye Mumaniat Nuzool E Quran Ke Waqt Thi Ek Martaba Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya, 
Tumper Hujj Farz Kia Hai 1 Shaks Ne Sawaal Kia Kia Her Saal?
Aap Khamosh Rahey Isne 3 Mertaba Sawaal Dohraya Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya, 
Ke Ager Main Haan Keh Deta To Her Saal Farz Hojata Aur Ager Aesa Hota To Her Saal Hujj Kerna Tumhare Lye Mumkin Na Hota
(Muslim,Abu Dawood)


Al-Quran:




Jo Log Apna Maal Allah Ta’la Ki Raah Main Kharch Kertey Hain
Phir Iskey Ba’ad Na To Ahsaan Jatatey Hain Na Aea Detey Hain
Inka Ajer Inkey Rab Ke Paas Hai Inper Na To Kuch Khauf Hai
Na Woh Udaas Hongey Naram Baat Kehna Aur Ma’af Ker Denba Is sadgey Se
Behtar Hai Jis Ke Ba’ad Aeza Rasaani Ho Aur Allah Ta’la Be-Niyaz Aur Burd-Baar Hai
Ae Iman Walo! Apni Khairat Ko Ahsaan Jata Ker Aur Aeza Pohancha Ker
Berbaad Na Karo! Jis Terha Woh Shaks JoApna Maal Logon Ko Dikhwey Ke Lye Kharch Karey Aur Na
Allah Per Iman Eakhey
Na Qayamat Per
(Surah Al-Baqara Ayat 162:164)


Raasto Per Baithney Se Perhaiz Karo
Abu Saeed Khudri Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai
K Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya:
Raasto Per Baithney Se Perhaiz Karo
Sahaba Ne Arz Kia:
Hamari Majliso Ke Bagair
Hamara Guzara Nahi
Kyun K Hum In Main Bahmi Baat Cheet Kertey Hain
Aap Ne Fermaya:
Jab Tum Nahi Maantey To Raastey Ka Huq Adaa Karo
Poocha Iska Huq Kia Hai?
Fermaya:
Nigah Neechi Rakhna
Taklif Na Dena
Salaam Ka Jawab Dena
Neki Ka Hukm Dena
Aur Burae Se Rokna
(Sahih Muslim)
Jahliat Ke 4 Kam Aise Hain


Abu Maalik Raziallah Anhu Se Rivayat Hai
K Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Fermaya:


Jahliat Ke 4 Kam Aise Hain
Jinhain Meri Ummat K Log Turk Nahi Karainge
1-Hasb-O-Nasb Aur Khaandani Shrf-O-Fazilat Per Fakher Kerna
2-Doosron Ke Nasb Aur Khaandan Main Nuqs Aur Aib Nikaalna Aur Ta’na Zani Kerna
3-Sitaaron Ke Asar Se Baarish Barusne Ka Aqeedah Rakhna
4-Noha Kerna
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya Ke:
Noha Kerne Wali Aurat Agar Merne Se Pehle Pehle
Tauba Na Karey To Qayamat Ke Din Isey “Ghandak”
Ki Shalwaar Aur “Khaarish”
Ki Qameez Pehna Ker Uthaya Jai Ga


(Sahih Muslim , Masand Ahmed)


Aesi Batain Mat Poocho.

Pakistani Awam Ki Mushkilat

 Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...