Wednesday, 22 June 2011

Islamic Quotations

Logon ki zarorton ka tum sai wabasta hona tum par ALLAH ki anayat hai.
(Hazrat Imam Hussain )
----------------------------------
gunah kisi na kisi sorat me dil ke parishan rakhta he.(Hazrat Usman )
----------------------------------
Ustaad ki maar baap k pyar se achi hai
[ HAZRAT LUQMAN ]
Chand k baghair raat bekar hai, aur ilm k baghair zehan.
[HAZRAT ABU BAKAR ]
Jo tujhey teri khamiyan batayewo tera dost hai.
[HAZRAT UMER ]
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI ]
----------------------------------
Gunah tumhen itna nuqsan nahi puhncha sakta jitna k Musalman ko khwar karna or be izzati karna.
(Khwaja Gharib Nawaz Rahmat Ullah Alaih)
----------------------------------
Tumhain us din par rona chaheye jo tum nai neki k baghair guzar dia.
(Hazrat Abu Bakar Siddiq )
----------------------------------
Paighame-Khuwaja
Gunah karne se Itna Nuqsan Nahi Hota Jitna Apny kisi Bhai ko Haqeer ya Zaleel Samjhne se Hota hai.
(Maktobat Ghareeb Nawaz)
----------------------------------
4 cheezon ki 4 jaga hifazat karna
1.Mehfil main zuban ki
2.Bazar main ankh ki
3.Namaz main dil ki
Aur
4.Dastarkhuwan pe pait ki
HAZRAT UMAR FAROOQ
----------------------------------
Apne ilm pe amal na karna, nimatun pe shukr na karna or
gunahu se tauba na karne se bhalai ka darwaza band hujata he.
(Yahya Bin Muaz )
----------------------------------
Log Bimari k khauf se
Khana to chor dete hen
Magar Allah ke khauf se Gunah karna nahi chorte.
(Hazrat Ghaus Ul Azam Rahmat Ullahi Alaih)
----------------------------------
Deen Sarapa Adab hy Jo iska Lihaz na Rkhe Wo Bad-Naseb hy
Intiqam ki Taqat rkhte Howay Ghussy ko pijana Afzal Tren Jihad hy
IMAM JAFFER SADIQ
----------------------------------
"Rozana kuch waqt apni Maa k sath baith kar guzara karo,
Q K
Kal qayamat k roz ye waqt tumhari maghfirat ka zarya ban jayega.
"IMAM HUSSAIN )
----------------------------------
Insan ki tamam pareshanian 2 wajohat ki waja se hain.
1. Taqdeer se zyada chahta hai.
2. Aur waqt se pehlay chahta hai.
(Imam Ghazali)
----------------------------------
Momin Woh nahi Jis ki Mehfil Pak ho,
balkeh Momin Woh ha Jis ki Tanhai Pak ho.
(Hazrat Imaam Hussain )
----------------------------------
Bhooky ko Khana khelana Hajat Ravai krna Dushman ko Maaf krna Achy Nafs ki Zeenat hy.(Hazrat Khawaja Moeen u Deen Rahmat u Allha)
----------------------------------
Bara khatakar woh hy jis ko logon ki boraiyon ka zikr krne ki faraghat mili ho.
Hazrat Usman Ghani )
----------------------------------
Hazrat Fatima (RA) Ne farmaya k mojhe donya mein 3 cheezen pasand hain.
1) jis qadar momkin ho ibadat krna
2) gonahon se nadim ho kar rona
3) fiqr o faqa mein sabar karna
book Tazkira-ul-waezin
----------------------------------
Zilat Ke Zindgi Say Muot Bahter Hai.
Immam Hussain )
----------------------------------
Ager Tum Chatay Ho Kay Log Tumhare Taref Karay Tuo Naik Kam Karo.
Immaam Hussain )
----------------------------------
"Jab banda gunah kar ky tuba krta hy tu is sy Qurb-e-ILAHI barhta hy aur isi trah bar bar tuba krny sy qurbat barhti jati hy"

----------------------------------
"Duniya ka Gham Dil mein Andheera Aur
Aakhirat ki Fikar Dil mein Noor Paida karti hay".
Hazrat USMAN E GHANI
----------------------------------
Logo se bewaja behis mat kia kro QK tmhari izt khtm hojaegi
or ziada mzaq mat kia kro QK logo ko tmse bat krne ki jurat peda hojaegi
(HAZRAT IMAM HUSSAIN )
----------------------------------
Farman e Syeduna
Abu Bakar Siddiq :
"Neki k kamun main takhir na karo kiun k Maut tumhari ghat main lagi hui hai"
Dawat e Amal Islamic sms Forum
----------------------------------
Agar to gunah par aamada hy,tu koi esa maqam talash kar,jahan Allah na ho"
* Hazrat Usman Ghani *
----------------------------------
Jis par naseehat asar na kary,woh jaan ly k mera dil imaan sy khali hy"
* Hazrat Abo-Bakar Siddiq *
----------------------------------
"Khaliq ky sath adab ka dawaa ghalat hy,jab tak,to makhlooq ky adab ka khayal na rakhy"
* Hazrat Abd-ul-Qadir Jeelani rahmatulla aleh*
----------------------------------
"Jab tak tera itraana aur ghosa karna baqi hy,apny aap ko ehl-e-ilm men shumaar na karo"
* Hazrat Abd-ul-Qadir Jeelani rahmatulla aleh*
----------------------------------
"AGAR TUMHAIN EK DOSRY KI NIYATON KA ILM HOTA TO TUM EK DOSRY KO DAFAN BHI NA KARTY."
FARMAN-E-IMAM HUSSAIN
----------------------------------
Yaad Rkho K Sachai Amanat Hy
Aur
Jhot Khyanat. Jo Qaum Allah Ki
Rah Main Jahad Krna Chorh Deti Hy
Aur
Jis Qaum Main Be-Hayai Phel Jati Hy
Us Pr Allah ka Azab Nazill Hota Hy
Hazrat Abu Bakar
----------------------------------
Teen Chizain Jis Shakhs Main Hoon Ge Us Ko Nuksan Dain Ge,
1 : Nafarmani
2 : Aehad Shikni
3 : Makar-O-Fareb
HAZRAT ABU BAKAR SIDIQ
----------------------------------
Insaan Duniya Ki Masrufiyat Mein Mashghool Hota Hai.
Or Usay Pata Bhi Nahi Hota K, Jis Kapray Se Oska Kafan Ban'na Hai; Wo Bazar Mein Aachuka Hai.
Imam Ghazali
----------------------------------
HAZRAT USMAN-E-GHANI
Ne Farmaaya:
Jo Shakhs Tumhaari Nigaahon Se Tumhaari Zuroorat Ko Nahin Samajh Sakta, Usay Kuchh Keh Kar Khud Ko Sharminda Na Karo.
----------------------------------
Hazrat Suleman Ka Qaul Hai,
"Ke Jis Shakhs Ne Apne Nafs Par Qabu Paya,
Wo Us Shakhs Say Zyada Taqatwar Hai
Jo Akela Aik Shehar Ko Fatah Kar Leta Hai."
----------------------------------
"Sab Se Behter Wo Shaks Hy
Jo Aise Logo'n Se Acha Sulook kare
jin Se Usay Koi Umeed Na Ho ..."
Hazrat Imam Hussain
----------------------------------
Aqwal-e-Imam Jaffar Sadiq
1- Deen Sarap Adab Hy
Jo Is Ka Lihaaz Na Rakhe
Wo bad-Naseeb Hy
2 - Intiqam Ki Taqat Rakhte Huey,
Ghussey Ko Pee Jana
Afzal Tareen Jihaad Hy
----------------------------------
"Us Shaks Per Zulm Kerne
Se Mohtaat Raha Karo
Jis Ka ALLAH K Siwa
Koi Na Ho .."
Hazrat IMAM HUSSAIN
----------------------------------
Tanha Shaks Mehfooz Hai.
Har Gunah Ki Takmeel Do Afraad Se Hoti Hai.
(Shekh Abdul Kadir Jelani
----------------------------------
Logo'n Se Bewaja
"Behas" Mat Kro
Tmhari "Aabru" Khtm
Ho Jayegi
Aur
Ziada "Mazaq" Na Kro
Q k
Logo'n Mein Tum Se Baat
Krne Ki "Jur'at" Peda Ho Jayegi
Imam Hussain
----------------------------------
HAZRAT IMAM HUSSAIN NE FARMAYA
us shaks pe zulam krny sy mohtaat rahu jis ka ALLAH k siwa koi na hu.
----------------------------------
FARAMEEN E AALHAZRAT (aleh rehma)
"Jo kisi qoum k tariqay par chala wo unhe mai say hai.."
(Fatawa e Razawia vol-21 pg-120)
----------------------------------
"Insan ko jin kamo say roka jae in k karny ki wo hirs rakta hai"
(FATAWA E RAZAWIA V-24)
FARAMEEN E AALHAZRAT (aleh rehma)
----------------------------------
Wo Shaksh Kis Tarha Takabur Kar Sakta Hai,
Jo Mitti Se Bana Ho,
Mitti Me Milne Wala Ho Or Mitti Me Keere
Makore Ki Gizah Ban'ne Wala Ho.
(HAZRAT ABU'BAKAR )
----------------------------------
"Tum me Se koi B Dusre muslman ko Haqeer Khayal na kre Is lye k ALLAH k Han Chote Musalman ka Rutba b bara hy"
(Hzrt Abu Bakar Siddiq )
----------------------------------
Imam
Jaffer-E-Sadiq Farmatay Hain K
Dua Ka Tareeqa Yeh Hai K
"Pehlay KHUDA Ki Humd O Tareef Karo
Phir Gunahoon Ka Iqrar Karo
Aur Phir Apni Hajat Talab Karo"
----------------------------------
"Log Tung-dasti Se Jtna Darty Hyn
Agr DOZAKH Se Dare'n Tou Dono' Se Bach
Jaye'n Maal Se Jtni Mohabbat Krty Hyn Agr Jannat Se
Kare'n Tou Dono' Pa Le'n"
Imam Ghazali
----------------------------------
"Fatah"
Umeed Sy Nahi
ILM Aur KHUDA Par
Aitmaad Sy Hasil Hoti
Hai ...
Hazrat UMAR
----------------------------------
Dunya Ko Apni sawari
Jano...!
Agar Tum Is Per
Sawar Rahe Tou Ye
Tumhe'n Manzil Tak
Le Jaye Gi
Aur Agar Tum Ne Isey
Khud Per Sawar Ker
Lia
Tou Tumhary Liye
Zillat-o-Halakat Hy ...
~ Hazrat Hassan Basri ~
----------------------------------
ALLAH Ka Zikr Kia Kro k Is Main "SHIFA" Hy
Aur
Logo'n k Aeb Bayan Na Kro k Is Main "BEEMARI" Hy
HAZRAT UMAR
----------------------------------
Hazrat UMAR Nay Farmaya : " Mohtaji Or Ghurbat 6 cheezon ki Waja se Aati ha ... Jaldi Jaldi Namaz Parhne se Khare Ho kar Rafa Hajat karne Se Khare Ho kar Pani Peene Se Mooh Se Chiragh Bujhanay Se Dannt Se Nakhoon Katne Se Damaan ya Asteen Se Mooh Saaf Karne Se

No comments:

Pakistani Awam Ki Mushkilat

 Ajjkal Pakistani Awam ko Kayi Mushkilat Darpaesh Hain Jismein Awal Number Per Mere Mutabiq Mehngai Hai Aur Dusre Number Per Laqanooniat. Go...